Maitri 2009 Reunion of 1986 batchmates from Christ Church College, Lucknow
Posted by Ashish Sinha on June 9, 2009
School ke dino ki yaden mun mey sajoy, Hum aaj yahan aayen hain
Kuchh kahi, kuchh suni aur kuchh ankahi bateyen, Hum aaj dohrane aayen hain
Adhuri preet ko, bhuli huwi meet ko, phir se jagrat karne aayen hain
Kuchh Meethi kuchh khatti yadon mey khud ko bhulakar, ateet ko yaad karne aayen hain.
kuchh chhan yaad nahi, kuchh hum bhool gaye, kuchh sapne ban kar toot gayen
Tow kuchh apne ban kar bhi rooth gaye
Jo pal bitaye thay humne vidyalaya ke prangan mey, woh khushian bankar baraste hain ghar ke aangan mey
Jo seekha tha humne pathshala mey, woh aadhar bana hai jeevan ka
Bachpan mey jo ankit huwa manas patal per, woh hi aaj deep dikhata hai jeevan path per.
Kuchh lamhe jo ban gaye smriti lekhni ke phool, unko bhi vyast jeevan ne asamay murjha diya
Lekin phir barishh ki phuwaren aayin hain, un lamho ko hara bhare karne ki bari aayi hai
Aur isliye humne aaj ki yeh milan bela sajayi hai!